"Bahut se aadhe bujhe huey din ade hain
Bahut si aadhi jali hui raatein gir padi hain,
yeah Ash-tray bharti jaa rahi hai... Yeah ash-tray bharti jaa rahi hai.."
~ No Smoking(2007) - Dir.: Anurag Kashyap | Co-producer: Vishal Bhardwaj
"Woh shaam kuch ajeeb thi,
Yeh shaam bhi ajeeb hai..."
~Khamoshi (1969)
"Yeah raat
Kaali zehreeli raat
Palkein jhapakti ye raat
Saanp si sarakti yeh raat
Yeh kaali-kodiyaali raat.."
~ Aks(2001)
"Raat ka nasha abhi aankh se gayaa nahin..."
~ Asoka(2001)
"Pehle se likha kuch bhi nahin... roz naya kuch likhti hai tu...
Jo bhi likha hai, dil se jiyaa hai,
yeah lamha filhaal jee lene de..
Aye Zindagi, yeah lamha jee lene de..."
~ Filhaal (2001) - Dir. : Meghana Gulzar
"Aap ki ankhon mein phir
Koi sharaarat toh nahin,
Bewajaah tareef karna
Aap ki aadat toh nahin... "
~ Ghar (1978)
"Sunaayi deti hai jis ki dhadkan, tumhara dil ya humara dil hai..."
~ Ghulaami (1985)
"Aye hairat- ey- aashiqui
jagaa mat,
pairon se zameen, zameen lagaa mat..."
~ Guru (2006)
"Kal bhi toh kuch aisa hee huwa tha
Neend mein thi tum ne jab chhua tha
Girte-girte baahon mein bachi main..
Sapne pe paanv padd gayaa tha..."
~ Ijaazat(1987) - Dir. : Gulzar
"Thoda sa baadal
Thoda saa paani
Aur...
Ek kahaani.."
~ Masoom(1983)
"Jaane kya soch kar nahin guzra
Ek pal raat bhar nahin guzra..."
~ Kinaara(1977)
"Aadatan tum ne kar diye waade,
Aadatan hum ne aitbaar kiya,
Teri raahon mein baaraha ruk kar,
Hum ne apna hee intezaar kiya..."
~ Gulzar's poetry
"Dhanno ki aankhon mein hai, raat ka surma... aur chand ka chummaa..."
~ Kitaab (1977)
"Khamosh sa afsaana
Paani pe likha hota
Na tum ne kaha hota
Na hum ne suna hota..."
~ Libaas (1988)
"Tum se mili jo zindagi
Hum ne abhi boii nahin
Tere siwa koi na tha
Tere siwaa koi nahin.."
~ Libaas (1988)
"Phir se aiyyo
Badara bidesi
Tere pankhon pe
Moti jadoongi..."
~ Namkeen (1982)
"O' more Chandrama
Teri chandni ang jalaaye
Teri oonchi atari
Maine pankh liey katwaaye... "
~Rudaali (1993)
"Koi manchala gar pakad lega aanchal
Zara sochiye aap kya kijiyega
Laga le agar badh ke zulfon mein kaliyaan,
toh kya apni zulfein jhatak dijiyega?
Huzoor is qadr bhi naa itraa ke chaliye.."
~ Masoom(1983)
"Aasmaan ke paar shayed,
aur koi aasmaan hoga...
Baadalon ke parbaton par
Koi baarish ka makaan hoga..."
~ Rockford (1999)
"Jhooti-mooti mitwa aavan bole,
Bhadon bole, kabhi saawan bole..."
~ Rudaali (1993)
"Paoun ke tale kabhi
Dil pada mile agar
Choom kar uthaiye
Khoob dekh-bhal kar..
Jo koi puch le toh kya
Raah se uthaya hai
Ek haseen nigaah ka dil pe saaya hai...."
~ Maya Memsaab (1993)
"Aaja aaja jinde shamiyaane ke taley,
Aaja zariwale neele aasmaan ke taley..."
~ Slumdog Millionaire (2008)
"Naal-naal turna te vith rakhna(walk side by side and keep track of each other)
Hadh rakh lena vich dil rakhna( make a boundary and put your heart within that)
Chaave-chaave paave asi teri parchave turna ( i want to walk in your shadow)
Ohde jehi main te, Oh Mirza mere varga ( I am just like him and Mirza is just like me)"
~ Jab Tak Hai Jaan (2012)
"Ho raat savere, shaam ya dopahari
Band aankhon me leke tumhe ungha karenge hum
Takiye chaadar mehake rehte hain
Jo tum gaye, tumhari khushbuein soongha karenge hum
O.. zulf mein phansi hui khol denge baaliyaan
Kaan khinch jaaye agar, Kha lein meethi gaaliyaan
Chunte chale pairon ke nishaan ki unn par aur na paanv pade.."
~ Ek Thi Daayan (2013)
------
(and... the list shall continue..... )
------
(and... the list shall continue..... )
Comments
Yes, BIG THANK YOU for bringing to my knowledge "Hairate aashiqui" is from GURU, indeed!
Thank you for reading, your feedback is valuable and your comments encourage me to do better. Pls visit again!
Love,
Priti :)